Header Ads Widget

Imam Ali Raza AS Ka Akhlaq in Urdu| Husn e ikhlaq | Hazrat Imam Ali Raza a.s Ka Husb e ikhlaq in Urdu | paigham e Nij

Assalamualaikum Ya Ali Madad
Imam Ali Raza AS Ka Akhlaq in Urdu| Husb e ikhlaq | Hazrat Imam Ali Raza a.s Ka Husb e ikhlaq in Urdu | paigham e Nij
 Imam Ali Raza AS Ka Akhlaq in Urdu| Husb e ikhlaq | Hazrat Imam Ali Raza a.s Ka Husb e ikhlaq in Urdu | paigham e Nij

Doosra Hissah


Abhi Hamaara Jawab Parhin


Haqeeqat ye hai Ke Hazrat Imam Ali Raza a.s Aek taraf Se Hazrat Rasool e Akram s.a.a.w.w, Imam Ali ibn e Abbi talib a.s Aor Hazrat Zahara a.s ke har dil Azeez bete Hin Aor Dono taraf Se Allah ki bargaah me Aek khaas Qurb Aor makhsoos azmat Aor manzelat ke Maalik Hin

Imam e Masoom a.s Aek Aam Aor mamooli shakhs Nahin Hin par ilem, marafat, Aor ikhlaq ke har lihaaz Se dab insanoon Se Afzal Hin Us ne APNA ilem Kesi school ya madarse Se Nahin hasil kiya bal ke wo APNA ilem Aek Raaz ki Tarah imamat ki amanat ke unwan Se Apne Aabawo Ajdaad Se seena ba seena hasil karate Hin Aor wo bhi jaari bahete saaf nabawi chashme Se sairaab Hin Aor Hazrat Nabi Akram s.a.a.w.w ne Allah Tala Se ilem hasil kiya hai Jo “Alal ittelaaq” Bina Kesi Qed Aor shart ke Aalim Hin

Imam Masoom a.s hidayat Karne Wala, Aor sekhane Wala, Aesa bemesaal Mualim hai Jo Allah Tala ki taraf Se Hamare lie muqarar muaiyan kiya gaya hai Aor Un Ka ihteraam Haqeeqat me Allah Tala Se Muhabat Aor us ke hukmoon Ka ihteraam hai


Imam a.s Jo Doosre logon Se Afzal hone Ka rabitah Aek taraf us ki aala Aor Afzal ilem Aor marafat Se hai Aor doosari tarf us ke khosh ikhlaq, Achha kirdaar, Insan zaat Se bhalai, Khair khuwahi, Aor us ke haadi hone Se jura Howa hai

Imam a.s Ka Amal Aor yn ki Ibadat, us ko Allah ki Nazar me Azeez Aor muhtaram Qatar diya hai Aor us ke ikhlaq, emaan waloon ki diloon me APNA Aqeedat mand Aor Ashiq Banaya hai


Allah Tala Quran me Apne rassol s.a.w.w. Se farmaya hai:
“Allah ki Aek Mehrbani hai Ke Aap jesa naram dil sardar Un logon ko mola hai 

Hazrat Imam Reza a.s Usi khasoosiyat ko Rasool Akram s.a.w.w Se meras hasil ki hai Aor ahel bait asmat wa taharat ke saare hi ashkhaas arse hi Hin


Hazrat Imam Ali ibn Moosa Al Raza a.s Apni saari Zindagi me Apne achhe ikhlaq aor aala kirdaar Se hamin Zindagi, Muhabat, piyar, Insan dosti, Aor Allah ki bandagi Ka sabaq diya hai Aor Usi Tarah Hamare diloon ko Apni taraf maail kiya hai Aor jazb kiya hai Ke Hum Aek shagird ki Tarah is Azeem insan ke daras ko ghaor wa fikir Se sunne Aor in ke barahte hoe Kamal Wale maktub me ilem Aor ikhlaq ke aala ruthoon Tak puhoch Sakin

Baas ketna Achha hai Ke us buzrigwaar ke ikhlaq aor kirdaar ke Aek hisse ko Aek Saath duhraain Aor hum bhi us Mehrban Imam a.s ki perwi karate hoe pasandeedah ikhlaq aor Kamal ke Maalik banin.

Post a Comment

0 Comments