Header Ads Widget

Qabar ki paheli Raat Ya Akherat ka darwaza Qabar mein murde ke sath kya hota hai Paigham E Nijat

Assalamualaikum Ya Ali Madad

Qabar ki paheli Raat     Ya     Akherat ka darwaza

Qabar ki paheli Raat Ya Akherat ka darwaza Qabar mein murde ke sath kya hota hai Paigham E Nijat

Q

?Apni maot ki yaad mai dunya e fani se safar Aakhirat ki paheli manzil

Qabar ki paheli Raat     Ya     Akherat ka darwaza


kahan suleman' kahan sikandar' kahan hin jem Aor kahan hin dara
yensab ke sab the khak ke putle bigar dale bana bana kar

musafiran e raah ko ye kesi nind Aagai Ilahi 
keh jab ke soae na phir se chonke thake hum un ko jaga jaga kar

Qabar ki Pukaar

Aap tanhai min bethh min kar kam az kam Aek martabah  Awwal se Akhir tak zaroor parhin
mere pesh  Ane se pahele mujh se Zaroor Waqif  hojae
min Woh Raat hon jo har aek ko pesh Ati hon Aor Anqreeb tum sab ko pesh  Akar rahoongi
 Aor min ne tum ko apne Aane ki Itla se Bakhabar kar diya Hai min khak ke neeche Sakhat Andheri Raat Hoon Phir mere anadar Aakar 
Yon Na Khena  mujhe Maloom Na Tha Hai min Bhool gaya Hai meri Tobah 

Yaad Rakho!

phir is cheekhane chelane Aor rone dhone se kuchh Kaam Na Bane Gaa Balkeh tujhe sakhat Azaab aor Museebatoon Ka samna karna
pare ga  Agar Roshni chahta hai toh charaagh le kar Ana Aor Yaad rakh Woh charagh jalta hai Panch (5) Waqat Namaz' Tahjud ki Namaz'
Quraan Majeed ki tilaawat' Aamal e Saleh Aor Allah Tala Aor Us ke Rasool ki Poori Poori Farmaan Bardari Aor Apne Nafs Ki Mukhalefat 
Karne Se.....

Kar Zameen Ke Neeche nJaane Ki Bhi Fiker
Onche Onche Yahan Toh Banwae Mihil

Roshni Qabar Ka Samaan Kar
Kaam Jo Karne Hin Aaj Kal


Sahib e Qabar Ki Pukar


Aae the chaman min tere ser gulshan kar chale
sanbhaal mali bagh apna hum toh apne ghar chale
Aor Rah jane wale kuchh parh ke bakhash jana
Agar ho khayal tum ko is meri be basi ka 
ho bhi jis ka guzar is Basti khamoshi se
meri qabar par bhi Aae parh kar jae Fatiha
Fisabeel Allh karam itna toh karte jaie
Fatiha Marqad weeran pe Bhi Parhte Jaie
kehdo ke jo hin is roo se guzarne Wale
Fatiha Turbat pe meri parhte jain
Mere muhsin jo hin is rah se guzarne Wale

Qabar Ki Pukar 

Hazoor Nabi Akaram s.a.a.w.w.s Ne Irshad  Farmaya Ke Qabar par koi aesa din nahin guzarta jis din woh ye Aelaan nahin karti ke " Ae Aadam ke bete 
to mujhe Bhool gaya main tanhaai ka ghar hoo main Wahshat ka ghar hoo main tangi ka ghar hoo main keeroon ka ghar hoo"

Nabi kareem s.a.a.w.w.s ne Farmaya ke jab Murde ko Qabar main Dafan karte hain to Qabar se Aawaz aati Hai ke Ae Shakhs to kitna ghafil hai Aor be fikir
 tha ke to mere seene ko saari Umar bari be dardi se Rond ta Raha Halanke to janta tha ke teri Aakhri manzil main hoo Aor merem andar keeroon ki panah gah  hai 
main ranj wa takleef k jagah hoo main woh haibatnak jagah hoo Aor maqam hoo ke sirf Andhera hi andhera hai lekin afsos ke tone kabhi na socha Aor 

Yaad Rakho!

Qabq kehti hai ke main in marne waloo ke Kafan Phar deti hoo Badan ke tukre tukre kar deti hoo Khon sara chos leti hoo Aor Aadmi ke jor jor juda kar deti hoo...

Post a Comment

0 Comments

Verification: 635a0b3f8ea73970